Aziz itna hi rakho ke ji sanbhal jaye, ab is qadar bhi na chaho ke dam nikal jaye
mile hain yun to bahut auo ab milen yun bhi, ke ruh garmi-e-anfas se pighal jaye
muhabbaton main ajab hai diloon ko dharka sa ke jane kaun kahan rasta badal jaye
rahe wo dil jo tamanna-e-taza tar main rahe, khusha wo umer jo khwabon hi main bahal jaye
main wo charag-e-sar-e-rahguzar-e- duniya hun, jo apni zaat ki tanhaaiyon main jal jaye
har ek lahja yahi arzu yahi hasrat, jo aag dil main hai wo sher main bhi dhal jaye.
No comments:
Post a Comment